abhi raushan hai ye charagh
to ye na samjho
ki ab andhere ka
koi wajud hi na raha
ki wo
raushni ki talwar se kaT kar
mera ja chuka hai
is dhoke mein na rahna
ki wo hamesha ki liye
KHarida ja chuka hai
us ne to bas ek chaalak aur shatir
sipah salar ki tarah
apni pahli haar ko
pahli bazi jitne wale dushman ki
jagmagahaTi wardi mein chhupa liya hai
aur is ke KHeme mein
is tarah ghul mil gaya hai
jaise ab us ka apna koi wajud na ho
lekin dar-asl wo
samaya hua hai inhin ujalon ki zat mein
is charagh ki jalne ki wajh ban kar
yahin kahin
isi raat mein
baDe sabr se is ghat mein
ki kab ye lau paDe maddham
aur wo TuT paDe
ek shahbaz ki manind
apne siyah Daine phailae
aur ghanimat ke kamzor faKHte ko
apne changul mein daboch le jae
meri baat ka yaqin na aae
to chand lamhon ke liye
koi ye charagh yahan se le jae
abhi raushan hai ye charagh
to aandhiyon se bachao use
ye ne samjhao ki ab andhere ka
koi wajud hi na raha
Nazm
Andhera
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027