raat ke hath mein ek kasa-e-daryuza-giri
ye chamakte hue tare ye damakta hua chand
bhik ke nur mein mange ke ujale mein magan
yahi malbus-e-urusi hai yahi un ka kafan
is andhere mein wo marte hue jismon ki karah
wo azazil ke kutton ki kamin-gah
wo tahzib ke zaKHm
KHandaqen
baDh ke tar
baDh ke taron mein uljhe hue insanon ke jism
aur insanon ke jismon pe wo baiThe hue gidh
wo taDaKHte hue sar
mayyaten hat-kaTi panw-kaTi
lash ke Dhanche ke is par se us par talak
sard hawa
nauha o nala o fariyaad-kunan
shab ke sannaTe mein rone ki sada
kabhi bachchon ki kabhi maon ki
chand ke taron ke matam ki sada
raat ke mathe pe aazurda sitaron ka hujum
sirf KHurshid-e-daraKHshan ke nikalne tak hai
raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin
raat ke pas andhere ke siwa kuchh bhi nahin
Nazm
Andhera
Makhdoom Mohiuddin