اردو हिंदी
Andhera | Shaahi Shayari
andhera

Nazm

Andhera

Azra Abbas

;

ye sab kuchh andhere mein hi hota hai
bahut se auzar aur na-malum hath

ek andheri koThari mein
qaid koi bhi

koi bhi ho sakta hai
jis ka gala kaTa jata hai

ya Tang ya hath toD toD kar phenka jata hai
kisi bhi dustbin mein

lekin ye kaise dekha jae
jaise aankhon ko kisi tez dhaar aale

se kaT diya gaya ho
jaez ya na-jaez

kaun phalta phulta hai
aur kaun dustbin mein phenka jata hai

sau power ke bulb ki raushni
bhi maddham paD jati hai