اردو हिंदी
Andha aur durbin | Shaahi Shayari
andha aur durbin

Nazm

Andha aur durbin

Saeeduddin

;

jab us ne pahaD ka nam liya
to sab hanpne lage

jab us ne ghanim ki naql-o-harakat batai
to wo kanpne lage

us ne kaha andhera
to sab ek dusre ko TaTolne lage

us ne kaha dariya aabaadi mein ghus aaya hai
to sab KHala mein hath pair marne aur Dubne lage

tab wo ayyari se muskuraya
aur unhen baalon se pakaD kar

KHala mein do-chaar ghote diye
aur algani par sukhne ke liye Dal diya

ab dekhen wo unhen kab utarta hai