اردو हिंदी
Andesha-e-visal ki ek nazm | Shaahi Shayari
andesha-e-visal ki ek nazm

Nazm

Andesha-e-visal ki ek nazm

Abbas Tabish

;

shafaq ke phul thaali mein sajae sanwli aai
charaghon se lawen khinchin darichon mein nami aai

mein samjha us se milne ki ghaDi aai
hawa jarub-kash thi aasman-asar tinkon ki

jise apni suhulat ke liye duniya ye tan-asan duniya ek murawwat mein
hujum-e-KHalq kahti hai

meri aankhen tahi gul-dan ki surat munDeron par
gali se uThne wali gard ko titli batati hain

ye manzar munjamid ho kar safar aaghaz karta hai
lahu ki barq-raftari tanaben khench leti hai

ye kaisi sham-e-shahzadi
shafaq ke phul thaali mein sajae zina-e-shab se utar aai

mein samjha us se milne ki ghaDi aai
salaKHon se lahu phuTa lahu mein raushni aai