kis liye kahan se kya hua ki main yahan aa pahuncha
ab mujhe kaise le jaya jaega
wahan jahan mohabbat thi
anurag tha
aur us ka raj tha
aawaz ke KHuda
ab tu hi bata ki afsos kis par kiya jae
aur kis ko duhai di jae
kis ne mujhe is tarah mar diya
ki na to main apni nazar mein raha
na duniya meri nazar mein
uThao use wahan se
jahan uThne se pahle tha hi nahin
kya jaanun main ki tu hi wasundra hai
bacha lo mere KHuda
ki main uDne se pahle hi uD raha hun
us taraf jahan
dharti hai na aakash hai
siwae dukh ke aur is ki talchhaT ke
ab main kis se puchhun ki mujhe kis ne mara
shairi ka din to kabhi hua nahin
magar ye raat kyun ho rahi hai
raat ko bacha lo warna din use mar dega
na-dida chandni se kaho ki wo apna chand DhunDh kar lae
warna main use KHuda ke supurd kar dunga
aur kahunga ki aainda nind kabhi paida na kiya jae
ghar ghar
damak rahi hai chandni
kyunki us ka KHuda use damkane ke liye aa gaya hai
Nazm
Andesha-e-jaan
Ahmad Hamesh