ghair-fitri tahaffuz ki majburiyan
aadmi aaj kiDe-makoDe ki manind phir rengne lag gaya
jin mein jine ki kuchh ahliyat hi nahin
wo bhi zinda hain aur zinda rahne ke haqdar logon ka haq kha rahe hain
bojh dharti ke sine ka baDhta chala ja raha hai
uTha do ye sare qawanin be-ja zaminon ko aazad kar do
usul-e-azal aur qanun-e-fitrat zamin par azal hi ki manind chal jaega
zinda rahne ki taqat tamanna irada sai
jin mein hogi wo zinda rahenge
baqi nakara mar jaenge
bojh dharti ke sine ka Tal jaega
aur phir saf-suthri nai KHub-surat si duniya ubhar aaegi
Nazm
Anarchizm
Asghar Mehdi Hosh