اردو हिंदी
Ana | Shaahi Shayari
ana

Nazm

Ana

Aziz Qaisi

;

ek nigar-e-tanhai
anjuman se nalan bhi anjuman-talab bhi hai

ek wahm-e-yaktai
zindagi ka saman bhi maut ka sabab bhi hai

ek junun-e-darai
KHud raqib hai apna KHud harif-e-yazdan hai

KHwab hai to iqan hai wahm hai to iman hai
ek hisar-e-aina

sang-zan ki zad mein hai
ek be-karan qulzum

aab-e-ju ki had mein hai
ek fana ka zindani

hasrat-e-abad mein hai