tere Dub jaane se kya farq paDta hai maghrur suraj
tere baad main hun
ujale ki manzil
charagh-e-gham-e-dil
jo har dair-o-kaba mein har raat jalta hai, tanha akela
jo tu Dub jaega maghrur suraj
to main jal uThunga tere baad lekin
agar bujh gaya main
mujhe chhu gaya koi jhonka hawa ka
to tarik ho jaega ghar KHuda ka
Nazm
Ana aur andesha
Prem Warbartani