KHamoshi mera lashkar hai
lafzon ki daldal
aur us mein palne wali jonken
ye mutaffin aawazen
meri yalghaar ke aage sabit-qadam rahengi?
kya tum waqai aisa samajhte ho
ki tumhaare maidan itne faraKH hain
ki mere asp-e-asil ko thaka denge
tumhaare samundar itne mawwaj hain
ki mera rizq ulaT denge
aur tumhaare pahaD itne sanglaKH hain
ki mera jhanDa na thamenge
dushman ahmaq ho to mera ghussa baDha deta hai
saqahat meri muayyana maqtul hai
aur KHush-fahmi muqarrara mazbuh
meri chinghaD sur-e-israfil ka pesh-ahang hai
lafz ki minminahaT se pak
andhe sayyaron ke Takrao ki mafauq-e-samaat gaDgaDahaT
aawaz ki mukammal minhai ka shor
likhe hue lafz ko bhi shaq kar deta hai
ye ibaraten tumhaara saf-basta lashkar hain
farzi hathiyaron se musallah ye lashkar
jise KHayali qilon ke brij girane ka baDa tajraba hai
is ki na-budi meri ek chup ke fasle par hai
yaad! rakhna
mere pas koi rassi nahin hoti
jo tumhaare gale mein Dalne aur
tumhaare hath bandhne ke kaam aae
mera fitrak hamesha KHali rahta hai
aur mere qaid-KHane kabhi aabaad nahin rahe
main jang se pahle hi dushman shumar kar leta hun
phir maqtulin ki ginti nahin karta
sab jaante hain
mujh par neza phenkne walon ki paspai na-tamam rahti hai
meri haibat se zamin maqnatis banti hai
aur hawa kohrbai karti hai
mera shikar bijliyan hankti hain
maut mera tarkash uTha kar chalti hai
aur mera rath aandhiyan khinchti hain
lafzon ke maktub jangal itne ghane nahin hain
ki tumhein aag ki barish se tar-ba-tar na hone den
sarf-o-nahw ka saeban itna baDa nahin hai
ki sitara-e-ajal tum se ojhal rah jae
kitabon se itni unchi diwar nahin banti
ki qital sannaTa phalang na sake
kya hasin duniya thi
jise tum ne lafzon se daghdar kar diya
us ke tabinda aafaq
in pinjron mein ghaT kar saqitushshams ho gae hain
kaisi zinda zamin thi
jis mein tum ne zahr bo diya
kaisa raushan aasman tha
jise tum tariki ke mafhum mein sarf kar chuke ho
tum ne shuur ko jhuTa
aur fitrat ko gadla kar diya hai
mahz zaban ke chaTKHare ke liye
tum ne wajud ka asas-ul-bait
farhangon ke mol bech khaya
main kaenat ki bazyabi ke liye nikla hun
mera KHanjar lafz ka peT chaak karega
mani ki zambil phaD Dalega
aur kazzab ishaaron ke hath qalam kar dega
jinhon ne sayyaron ko gumrah kar rakha hai
be-zabanon ko muzhda ho
haqiqat ka asli tanazur bahaal hone ko hai
tumhaare dushman fasilon ke tasawwur mein mahsur hain
siyah aaine ki ye maKHluq
jis ki manhus parchhain ne
har taraf shor macha rakkha hai
KHud hi apna madfan hai
meri aaKHiri yalghaar se ho jaenge sare manazir
sari aawazen
aazad
na-malfuz
Nazm
An-paDh gunge ka rajaz
Ahmad Javed