roz jab subh ko
apne ghar se nikalta hua
raste mein koi dost mil jae
ya jaan pahchan wala
main baDi garm-joshi se us ki taraf
baDh ke jata hun main
aadab karta hun
aur muskuraata bhi hun
jaise main aaj ke din
bahut KHush hun
aur ghar pe sab KHairiyat hai
mujh ko har har qadam par
kai tarah ke log milte hain
jo unchi unchi dukanon par baiThe hote hain
kai aise afrad
main jaanta hun wo kitne ghabi hain
magar kursiyon par DaTe hain
unhen log
jhuk jhuk ke taslim karte hain
wo log jo un se behtar hain
tahzib-o-shaistagi
danish-o-agahi mein
magar is ko kya kijiye
un ki qismat mein wo KHas kursi nahin hai
ki jis par koi masKHara baiTh jae
to us ko koi masKHara kah na pae
mujh ko mahsus hota hai
KHud mere andar
koi baiTha hua
kah raha hai
ji mein aata hai
un masKHaron par hansun
khokhle aadmi jo bhi hain
un se kah dun ki tum khokhle ho
apni kursi pe baiTha hua koi ahmaq
unT ki tarah se bilbilae
to kah dun ki kya bak rahe ho!
Nazm
An-kahi
Khalilur Rahman Azmi