fasla jab tumhaare mere darmiyan ka
zara baDh gaya to
tumhaari judai ke ehsas ki
garm bunden
meri muntazir chashm-e-be-KHwab se
raat bhar qatra qatra Tapakti rahin
subh tak karwaTen
mere bistar pe jalti rahin
aag si KHun ke sath
mere badan mein dahakti rahi
yaad ki shama
kamre mein shab-bhar
sulagti rahi
aur tumhaara nasha
meri nas nas mein
til til utarta raha
mera sara wajud
ek an-chahi maut
ek ek lamha marta raha
Nazm
An-chahi maut
Rashid Aazar