jo mujh ko lai thi sukun-gah mein
wo ek thi
sapid, sirf ek, us ke pahluon, jabin aur pusht par
salib ke nishan the
main chur chur ek azim ghao tha
wo mujh ko dast-e-mehrban mein saunp kar
chali gai to main ghunudgi ki be-karan muhib dhund mein bhaTak gaya
har ek rah-guzar pe gaDiyon bason ka karwan umanD paDa
ajib inqalab tha meri nazar ke samne
wo ek pal mein sab sapid ho gain
sapid sab sapid, un ke pahluon, jabin aur pusht par
salib ke nishan dafatan ubhar ke aa gae
alam-nasib un ke be-aman makin
mere hi ham-nafas wafa-shiar wo aziz the
jo sadgi se koi mushtahar fareb kha gae
kisi muhib jang bhuk qaht ya waba ki zad mein aa gae
Nazm
Ambulance
Balraj Komal