ye sat-mahe
man ke KHali peT ke virane mein karahe
nangon, bhukon, bhik-mangon ne
apni sada suhagan line aur baDha di
wo eazaz diya
ek jagah mustaqil bana di
un ki KHamida pusht
apne kohan se
muDi kaman thi
jis ki bad-surat parchhain
KHatt-e-falak par dagh kaDhti thi
nile rang afsurda lagte the
un ke bap purane ghag
baDe jalali bhik-mange the
sare kasa-leson par
kuchh aisi dhak!
wo un ki aawaz sunen
to rasta chhoD den
aur gale mein aisi tan!
jo pankaj ki kharaj bhula de
(ajab zamana tha
jo europe ke gulzaron mein
akhwe phuTte the
tab bangal ke aur punjab ke
lash lash karte kheton mein
dhan aur gandum ke KHoshe
murjhane lagte the)
is pas-e-manzar mein
bap ki mustaqbil-andeshi ne
tin baras ki lunj-munj si
chiz ke donon hat
chaT chaT toD ke
ek ek kuhni aur bana di thi
chaar-dang mein shohrat phail gai
parda
parda
chaar kuhniyon wale
ram-charan alkubDe aate hain
is aawaz ne
itne itwaron ki KHamoshi toDi thi
jin ka hisab nahin
ye kachhwe ki
ulTi piTh aisi
taKHti ki kashti mein
pairon ke patwar chalate
humak humak andar aate
aur chiqon ke pas pahunch kar
tam chini bartanon se
chapar chapar khane khate
aur dadi jaan ke sae se
sahj sahj baaten karte jate the
sola sal yahi mamul raha
dildari aur shikam-puri ka yahi usul raha
ek sham abhagan aai
ye nahin aae
koi sitla Dain aai
ye nahin aae
baDi DhunDayya paDi
udasi phail gai
ammi jaan aur dadi jaan ne
paise bhej ke
jalwane ka band-o-bast kiya
to jal kar bhasm hue
par un ki muqaddas rakh aaj bhi
meri ruh mein uDti hai
parda
parda
chaar kuhniyon wale
ram-charan alkubDe aate hain
Nazm
AlkubDe
Saqi Faruqi