purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
ali-bin-muttaqi masjid ke mimbar par khaDa
kuchh aayaton ka wird karta tha
juma ka din tha
masjid ka sehn
allah ke bandon se KHali tha
ye pahla din tha masjid mein koi aabid nahin aaya
ali-bin-muttaqi roya
muqaddas aayaton ko maKHmalin juz-dan mein rakkha
imam-e-dil-girafta
niche mimbar se utar aaya
KHala mein dur tak dekha
faza mein har taraf phaili hui thi
dhund ki kai
hua phir yun
munDeron gumbadon par an-ginat par phaD phaDae
kasni kale kabutar
sehn mein niche utar aae
wazu ke waste rakkhe hue loTon par
ek ek kar ke aa baiThe
imam-e-dil-girafta
phir se mimbar par chaDha
juz-dan ko khola
safon par ek nazar Dali
ye pahla din tha masjid mein
wazu ka hauz KHali tha
safen mamur thin sari!
Nazm
Ali-bin-muttaqi roya
Zubair Rizvi