thak gai raat masakne laga ghaza ka fusun
sard paDne lagin gardan mein hamail banhen
farsh bistar pe bikharne lage afshan ke charagh
muzmahil si nazar aane lagin ishrat-gahen
zindagi kitne hi viranon mein dam toD chuki
ab bhi milti hain magar gham ki fasurda rahen
jis tarah taq mein jal bujhti hain shamon ki qatar
zulmat-e-shab mein jagati hui kashanon ko
ban ke rah jati hai ta-subh patangon ka mazar
KHun ke harfon mein tahrir hai diwaron par
in ghisaTte hue ajsam ke ambaron mein
dard ke ruKH ko palaT dene ka maqdur nahin
fikr ghabrai hui phirti hai bazaron mein
umr ek sail-e-ufunat hai badar-ru ki misal
zist ek cha-ba-cha saDta hua gadla pani
jis se sairab hua karte hain KHinzir o shaghaal
waqt ki jalti hui rakh se jhulse hue panw
ki ghani chhanw mein baiThe hue dil
karb-e-mazi ke giran bojh se Dubi nabzen
lakh chahen pe ubharne ka guman la-hasil
ek mauhum si hasrat mein jiye jate hain
nam hi nam masarrat ka liye jate hain
apni be-KHwab tamanna ka fasana hai yahi
kal ki shab aur nai aur nai shab hogi
zindagi hogi nai aur kahani bhi nai
sabr ai dost ki zulmat ki ghaDi bit gai
thak gai raat masalne laga ghaza ka fusun
sard paDne lagin gardan mein hamail banhen
Nazm
Alif laila
Wamiq Jaunpuri