ali-mohsin ke mamun luT ke ambaala se jab lahore aae the
kalam-e-pak alam aur sajda-gahen sath lae the
chunanche un ke ghar mein mustaqil duldul bhi palta tha
hamesha nau mohrram ko alam ghar se nikalta tha
har aashure ali-mohsin baDe mamun ke ghar lahore hota tha
wahin do chaar din ruk kar karachi jab wo aata tha
to beDin road ke amritsari halwai se ammi aur abba ke liye
laDDu bhi lata tha
ali-mohsin ke abba-ji baDe hi pak-tinat the
magar un ke pakhoDon aur kamar par mustaqil KHarish si rahti thi
ali-mohsin ki ammi kina-parwar thin
magar beTa to beTa tha
so kahti thin bahu jab ghar mein laungi
phaTengi tab teri aanhken
chaDhawa jab chaDhaungi
wo is par kuchh na kahta tha
wo un donon se waise baat yun bhi
kam hi karta tha
wo ammi aur mamun ke liye lahore to jaata
magar din-dar logon se
use raghbat na hoti thi
aur un se bahs karne ki
kabhi himmat na hoti thi
ali-mohsin ke tinon yar umar, parkash aur safdar
baDe hi bad-aqida the
wo chaaron sath jab parkash ke us flat mein hote
kilifTan mein jahan wo shyam, rabarT aur nazar ke sath rahta tha
baDe hi kaif mein hote
wo sare mil ke jab phir bich barauri ki chunida lemun wali uDka
ke jam bharte the
to apni sham ko KHush-gappiyon bad-feliyon ke nam karte the
umar, parkash, safdar aur ali-mohsin ka daftar ek hi tha
is liye wo pite pite maera ko yaad karte the
kai salon se wo bhi sath thi un ke
wo hafte bhar mein har din ek nai KHushbu lagati thi
baDe danton jhuke kandhon ki laDki
jis ki sab baaten nirali thin
aur aanhken kitni kali thin
ali-mohsin ki aanhken to nahi baaten nihayat KHubsurat thin
wo yaron ko batata tha
ki wo daftar mein aai sab nai intarnz ke chakkar mein rahta hai
jo thoDe din ko aati thin
qamisen jin ki unchi thin
ya jin ke chaak niche the
jo bichwe aur pazeben pahanti thin
jo KHush hon ya na hon
KHush-haal lagti thin
wo baaton ki ani se jab kisi intern ke dil mein
bahut se nit-nae aur pur-masarrat KHwab bota tha
use KHud bhi zara dhima sa aur maghlub sa ek ishq hota tha
wo apne kaam mein bhi mustaid tha
company ne us ko gaDi di thi jis mein dek laga tha
aur kisi intern ko le kar wo us par ghumta rahta
paThane-KHan ko sunta musalsal jhumta rahta
ali-mohsin police ke rokne ke waqt se pahle
kaDahi kha ke aur yaron se ruKHsat le ke apne ghar pahunchta tha
pahunchte hi wo Tw par kisi channel se aati
inDian picture lagata tha
magar phir bhul kar sab
mayera ki KHushbuon mein Dub jaata tha
Nazm
Ali-mohsin MBA, Khaalid-bin-walid road
Haris Khaleeq