اردو हिंदी
Alfaz ke tarik baadal | Shaahi Shayari
alfaz ke tarik baadal

Nazm

Alfaz ke tarik baadal

Paigham Aafaqi

;

alfaz ke jadu se
sehr-karon ne har waqt

patthar ko kabhi shisha
kabhi aag ko shabnam

nafrat ko mohabbat kabhi insan ko haiwan haiwan banaya
jis rah pe chalte rahe gumrah musafir

un rahon ko har moD pe, be-moD pe
is tarah ghumaya

ki jaise KHalaon mein sabhi ghum rahe hon
diwanon ki manind

gardish ne unhen aur bhi
diwana banaya

diwanon ke qadmon mein ye laTki hui zanjir alfaz ki
ab chiKH rahi hai

alfaz pe diwane bharosa nahin karte