fasana kaise baDhe
na koi sahir-e-pazhmurda sin na saudagar
na chin se koi aae na baKHtar se koi
balaKH ke shahr mein aur qaf ke paristan mein
koi pari na pari-zad kaun aaega
fasana kaise baDhe
wilayaton ke faristad-gan-e-ishq to kya
kanar-e-bahr pe qazzaq bhi nahin koi
aza-kuninda-e-shab hai na hai payami-e-subh
na dasht-e-rah-zadagan mein hai sabz-posh koi
na dewta hai na autar hain na paighambar
fasana kaise baDhe
hazaron raaton ki wo dastan tamam hui
hazaron qisson ki wo raat KHatm par aai
bahana koi nahin
bas ab ki maal-e-shikast-e-bayan ki bari hai
fasana koi nahin ab to jaan ki bari hai
Nazm
Alf-e-laila ki aaKHiri subh
Aziz Qaisi