hari masjid ki halki dhup mein
taza wazu se gile panw
aur Tapakti aastinon ki chamak mein log the
jo saf-ba-saf
apna janaza paDh rahe the
sadar darwaze se
ek barud mein Duba hua
jannat ka saTTa-baz aur huron ka saudagar
achanak sahw ka sajda ada karne ko aaya
aur hari masjid ne apna rang badla
qurmuzi dahliz par jitne bhi jute the
wo taza KHun par pahle to tere
aur phir
jamte lahu par jam gae
main bachpan mein
kai mulkon ke sikke aur Ticketen jama karta tha
bayaz-e-zehn ke tarik pannon par
main ab jismon ke TukDe jama karta hun
meri album ke safhon ki tahon se KHun nikalta hai
meri aankhon se rista hai
Nazm
Album
Waheed Ahmad