ye be-rahm choTon KHasaron ki duniya
ye kaghaz ke jhuTe sahaaron ki duniya
ye rupyon ke lalach ke maron ki duniya
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
har ek jeb chhalni har ek aankh pyasi
har ek ruKH pe phaili hui bad-hawasi
ho mansuKH rupiyon ki kaise nikasi
ye rupaya agar mil bhi jae to kya hai
hamara hai phir bhi hamara nahin hai
tasarruf par apna ijara nahin hai
bulandi par apna sitara nahin hai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
ye KHun aur pasine ki gaDhi kamai
samajh mein yahi baat ab tak na aai
bhala kab gharibon ke ye kaam aai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
paDi banjh hain a-t-m ki mashinen
ghisin bank ki chaukhaTon pe jabinen
qataron mein sab chhup gai hain zaminen
ye rupya agar mil bhi jae to duniya
sabhi kale dhan wale hain KHairiyat se
jahan hain jidhar hain wo hain aafiyat se
mile na mile un ko achchhi niyyat se
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
chamakdar dhan kale dhan se nikalo
gharibon ko ranj-o-mehan se nikalo
hamein tum hamare kafan se nikalo
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
ye mazdur ye aam tajir ye modi
sabhi sada-lauhon ki kashti Dubo di
kisi ke bhi pichhe se sui chubho di
ye rupya agar mil bhi jae to kiya hai
baDi shiddaten aurten sah rahi hai
khaDi apne ashkon mein wo bah rahi hai
raqam le ke hathon mein ye kah rahi hai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
rupae ghar mein rakhne ki achchhi saza hai
na roTi paki hai na salan bana hai
kai din se ghar mein na chulha jala hai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
nae note ka qadd-o-qamat to dekho
ye churan ki parchi ki shamat to dekho
ye kaghaz ki patli hajamat to dekho
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
ye hai bis sau ka magar sau se halka
hai barik itna ki surma kharal ka
currency ki aankhon ka pani hai Dhalka
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
hamare saron ko faza mein uchhaalo
hamein shauq-e-sabr-azma mein uchhaalo
ye be-kar note ab hawa mein uchhaalo
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
har ek gham ko ifraat-e-zar mein baha lo
maishat ka aisa janaza nikalo
siyasat ki bhaTTi mein sab jhonk Dalo
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
Nazm
Alamiya-e-naqd
Fay Seen Ejaz