dariche mein khaDi barish ko
saDkon par baraste dekhti hun
sochti hun
dukh ko apne nam kya dun main
tamannaon ko girwi rakh ke
KHwabon ke sabhi dar-band kar ke
kitni mushkil se
chhuDa kar apna daman
chhat aur aangan ki tamanna se
faqat ek ghar ki KHwahish mein
ye zindan mol le kar
is pe apne nam ki taKHti lagai hai
bas ek KHwahish hai jo
sawan-ruton mein
dil bahut be chain rakhti hai
ki main sawan ki
ThanDi narm bauchhaaron ka
resham lams
apne tan badan par oDh leti
hai magar kuchh yun
main barish dekh to sakti hun
is ko chhu nahin sakti
Nazm
Alamiya
Humaira Rahat