subh se main us ghaDi ki Tik Tik sun raha hun
jo diwar se achanak ghaeb ho gai hai
lekin har ghanTe ke iKHtitam par
alarm dene lagti hai
aur phir Tik Tik Tik
kabhi kabhi ye Tik Tik
mujhe apne sine mein sunai deti hai
kabhi kalai ki nabz mein
phir to jis chiz ko uTha kar kan se lagata hun
wo Tik Tik karne aur alarm dene lagti hai
achanak main apne aqab ki diwar ko dekhta hun
wahan mujhe ye ghaDi
diwar par aundhi chipki dikhai deti hai
samne ki diwar se ye aqab ki diwar par kaise aa gai
aur us ki suiyan aur Dial diwar se chipak kaise gae
jaise us ka waqt diwar ke us par ke liye ho
main barabar ke kamre mein jata hun
ab mujhe waqt dikh raha hai
lekin ghaDi ghaeb hai
ab na us ki Tik Tik hai na alarm
main ne chaha ki chizon ko chhu kar dekhun
Thik us waqt mujhe andaza hua
main chizon ko dekh sakta hun
chhu nahin sakta
is kamre mein to main KHud ulTi hui ghaDi hun
ye kamra aur wo kamra
do alag alag ikaiyan hain
unhen ek nahin kiya ja sakta
bas us kamre mein thoDi der ke liye jhanka ja sakta hai
main wapas apne kamre mein aa jata hun
wahan
jahan main har chiz ko chhu sakta hun
aur har chiz mein
waqt ki ye Tik Tik sun sakta hun
chahe samne ghaDi ho
ya na ho
Nazm
Alag alag ikaiyan
Saeeduddin