اردو हिंदी
Alaw | Shaahi Shayari
alaw

Nazm

Alaw

Gulzar

;

raat-bhar sard hawa chalti rahi
raat-bhar hum ne alao tapa

main ne mazi se kai KHushk si shaKHen kaTin
tum ne bhi guzre hue lamhon ke patte toDe

main ne jebon se nikalin sabhi sukhi nazmen
tum ne bhi hathon se murjhae hue KHat khole

apni in aankhon se main ne kai manje toDe
aur hathon se kai basi lakiren phenkin

tum ne palkon pe nami sukh gai thi so gira di
raat bhar jo bhi mila ugte badan par hum ko

kaT ke Dal diya jalte alao mein use
raat-bhar phukon se har lau ko jagae rakkha

aur do jismon ke indhan ko jalae rakkha
raat-bhar bujhte hue rishte ko tapa hum ne