be-qarar 
phans gai mazi ke tah-KHane mein 
mustaqbil ki Tang 
nabz-e-dauran 
nim ke sae tale baiThi rahi 
aur phir 
qalb-e-muztar mein kukurmutte uge 
chashm-e-fitrat ka 
chura kar le gaya kajal koi 
kankhjure sans se chipke hue 
ghurte hain marmarin idrak ko 
khet mein leTi hai diwane ki ruh 
kud jao aansuon ki jhil mein 
aaj dhurpad ga rahi hai chandni 
ek sitara dusre par gir paDa 
falsafi ke ghar mein tilcahiTTe bhaTakte rah gae 
ghus gaya bhus aankh mein aakash ki 
nind aanton ko 
chabaati jae hai 
phephaDon mein fuzla-e-ehsas hai 
mahw-e-KHiram 
raushni ko koele ki kan se fursat kahan 
dosto aao 
langoTi bandh len
        Nazm
Alamat ke pas-manzar mein
Mohammad Yusuf Papa

