na chand-matha na tara-ThoDi
na jhil-ankhen, na phul-lab hain
na aanch azm-o-yaqin ki dil mein
nuqush-e-ruKH itne miT gae hain, nuqush kab hain
ai aaine waqt ke! tujhe ek bar bhi
ek hasin chehra na de sake hum
magar hain hum ab bhi aks tera
wo aks hi to hamara sach hai
hamari aankhen bujhi hui hain magar yahi to hain teri aankhen
hamare chehre sute hue hain, magar yahi to hai tera chehra
hamare aansu hain tere aansu, hamare dukh sare tere dukh hain
ki tu bhi sach bolne ka aadi hai, hum bhi aadi
hum apne chehre, hum apne baatin sanwar lenge
hamari aankhon mein dekh apne hasin farda ka ek hayula
ki chand matha hai, tara thoDi hai, jhil aankhen hain, phul lab hain
hasin hain ham, hasin hai tu hasin sab hain
Nazm
Aks-dar-aks
Nahid Qasmi