اردو हिंदी
Akeli bastiyan | Shaahi Shayari
akeli bastiyan

Nazm

Akeli bastiyan

Mahboob Khizan

;

be-kas chameli phule akeli aahen bhare dil-jali
bhuri pahaDi KHaki fasilen dhani kabhi sanwli

jangal mein raste raston mein patthar patthar pe nilam-pari
lahrili saDken chalte manazir bikhri hui zindagi

baadal chaTanen maKHmal ke parde pardon pe lahren paDin
kakul pe kakul KHemon pe KHeme silwaT pe silwaT hari

basti mein gandi galiyon ke zine laDke dhama-chaukDi
barse to chhagal Thahre to halchal rahon mein ek khalbali

girte gharaunde uThti umangen hathon mein gagar bhari
kanon mein baale chandi ke haale palken ghani khurduri

haDDi pe chehre chehron pe aankhen aai jawani chali
Tilon pe jauban rewaD ke rewaD kheton pe jhaalar chaDhi

wadi mein bhige roDon ki peTi chashmon ki champa-kali
sanche nae aur baaten purani miTTi ki jadugari