ajnabi apne qadmon ko roko zara
jaanti hun tumhaare liye ghair hun
phir bhi Thahro zara
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sath lete chalo ye mujassam fughan
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
meri ammi nahin
mere abba nahin
meri aapa nahin
mere nanhe se masum bhayya nahin
meri ismat ki maghrur kirnen nahin
wo gharaunda nahin jis ke sae-tale
boriyon ke tarannum ko sunti rahi
phul chunti rahi
git gati rahi
muskuraati rahi
aaj kuchh bhi nahin
aaj kuchh bhi nahin
meri nazron ke sahme hue aaine
meri ammi ke abba ke aapa ke aur mere nanhe se masum bhayya ke KHun se
hain dahshat-zada
aaj meri nigahon ki viraniyan chand majruh yaadon se aabaad hain
aaj meri umangon ke sukhe kanwal mere ashkon ke pani se shadab hain
aaj meri taDapti hui siskiyan ek saz-e-shikasta ki fariyaad hain
aur kuchh bhi nahin
bhuk miTti nahin
tan pe kapDa nahin
aas madum hai
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
ajnabi apne qadmon ko roko zara
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sath lete chalo ye mujassam fughan
meri ammi bano
mere abba banno
meri aapa bano
mere nanhe se masum bhayya bano
mere ismat ki maghrur kirnen bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
Nazm
Akeli
Balraj Komal