اردو हिंदी
Akele hone ka KHauf | Shaahi Shayari
akele hone ka KHauf

Nazm

Akele hone ka KHauf

Zubair Rizvi

;

hamein ye ranj tha
jab bhi mile

chaaron taraf chehre shanasa the
Hujum-e-rah-guzar bahon mein bahen Dal kar chalne nahin deta

kahin jaen
taaqub karte sae gher lete hain

hamein ye ranj tha
chaaron taraf ki raushni bujh kyun nahin jati

andhera kyun nahin hota
akele kyun nahin hote

hamein ye ranj tha
lekin ye kaisi duriyan

tarik sannaTe ki is saat mein
apne darmiyan phir se chali aain