اردو हिंदी
Akela | Shaahi Shayari
akela

Nazm

Akela

Qayyum Nazar

;

mere pichhe jaane wale kal ka dhundlaka
aisi shaklen jin ke naqsh hawa par jaise tahriren hon

aise qisse jin ke daman par sayon ki taswiren hon
mere samne aane wale kal ka ujala

aisi naslen jin ke ilhamon ki mubham tafsiren hon
aise zamane jin mein chand ko pa lene ki tadbiren hon

jaani dharti se anjaane nile falak ka
main wo 'aj' hun jis ke liye donon hi kal taziren hon

jis ki sathi tanhai ke aansuon ki zanjiren hon