un utri bhiD ke manind peD
munh chiDati dil dukhati choTiyan
dur niche pattharon ki sej par
sar paTaKHti chiKHti naddi rawan
aasman par murda baadal KHema-zan
qahqahon se rad ke na-ashna
mahr jaise koi majbur-e-azal
ek maile jal mein uljha hua
malgaji si raushni mein ek peD
kanpti ungli se mujh par KHanda-zan
aasman par daere ke rup mein
chiKHte rote hue bhuke parind
dam-ba-dam ghota lagate meri or
dam-ba-dam mujh pe jhapaTte murda-KHor
Nazm
Ajnabi
Wazir Agha