ab ye ehsas dam-e-fikr-e-suKHan hone laga
apni hi nazmon ka bhula hua kirdar hun main
main musafir hun bayaban-e-faramoshi ka
apne naqsh-e-kaf-e-pa se bhi shanasai nahin
ta-ba-pahana-e-nazar ret ke Tilon ka sukut
apna saya bhi yahan monis-e-tanhai nahin
tir ban kar koi sannaTe ke dil mein utre
kisi mayus parinde ki sada-e-tanha
zaKHmi aahu-e-ramida ki ada-e-tanha
kash pal bhar ko utar aata KHuda-e-tanha
main kisi aazar-e-gumnam ka but hun shayad
jis ki qismat mein koi chashm-e-tamashai nahin
izn-e-fariyaad nahin ruKHsat-e-goyai nahin
dur us par shafaq rang guphaon se pare
zer-e-mehrab-e-falak qafila-e-umr-e-rawan
tan uDate hue sarmast o jawan guzra tha
mah-nishan najm-chakan mehr-inan guzra tha
KHun rulata hai subuk-gami-e-mahmil ka saman
ab bhi kaunda sa lapakta hai ghaTaon se pare
main bhi us waqt sar-e-rah tha hairan hairan
pa-barahna nazar-awara tan-afgar KHamosh
dard se mohr-ba-lab surat-e-diwar KHamosh
KHalish-e-hasrat-e-jaan thi ki koi pahchane
shama si dil ke nihan-KHane mein larzan larzan
mujh pe kya bit gai kaun sune kya jaane
chashm-e-KHun-basta ko aaseb ka maman samjha
qafile walon ne shayad mujhe rahzan samjha
Nazm
Ajnabi
Shaz Tamkanat