اردو हिंदी
Ajnabi | Shaahi Shayari
ajnabi

Nazm

Ajnabi

Sabir Dutt

;

ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana
mein teri mang sitaron se nahin bhar sakta

tere daman ko bahaaron se nahin bhar sakta
meri be-rang fazaon mein kahan sham o sahar

mere tarik gharaunde mein kahan tera guzar
mere sahra se gulistanon ki ummid na kar

ujDi duniya se shabistanon ki ummid na kar
ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana

meri KHatir ye mahl aur ye mehrab na chhoD
KHwab-gahon ke masarrat se bhare KHwab na chhoD

raushni chhoD ke dar aa na siyah-KHane mein
shama raushan ho bhala kyun kisi virane mein

main tujhe koi hasin taj nahin de sakta
kal to kal hai main tujhe aaj nahin de sakta

ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana