ajnabi rah-guzar sochti hai
koi darwaza khule
har taraf dard ke lambe sae
raste phail gae dur gae
dhaDkanen tez huin aur bhi tez
ajnabi rah-guzar sochti hai
koi mahjub nazara ubhre
aur majbur faqiron ki tarah
har qadam chalti hai dastak dastak
har nafas ek nai rah har ek samt mein bhagi lekin
jis tarah wasl ka har lamha judai ka safar
ajnabi rahguzar sochti hai
shayad ab aisa maqam aa jae
har qadam aap har ek rah-guzar ho manzil
KHud-ba-KHud dard ka har lamha ho lutf
ajnabi rah-guzar sochti hai
dar-ba-dar KHak-basar sochti hai
Nazm
Ajnabi rah-guzar
Siddique Kaleem