ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho
thake lagte ho
aankhon mein kai sadiyon ki ninden jagti hain
faslon ki gard palkon par jami hai
ajnabi! kaisi masafat se guzar kar aa rahe ho
kaun se deson ke qisse
dard ki KHamosh lai mein ga rahe ho
dur se nazdik aate ja rahe ho
ajnabi aao!
kisi agle safar ki raat se pahle
zara aaram kar lo
phir sunenge dastan tum se anokhi sar-zaminon ki
hawa mein tairte rangin makanon ki makinon ki
paDaw umr bhar ka hai
alao tez hone do
mohabbat-KHez hone do
shanasa KHwahishon ki KHushbuen jalne lagi hain
ajnabiyat qurbaton ke lams mein sarshaar
gum-gashta zamane DhunDhti hai
zindagi dukh dard bhi qarnon purane DhunDhti hai!!
Nazm
Ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho
Naseer Ahmad Nasir