اردو हिंदी
Ajnabi KHat-o-Khaal | Shaahi Shayari
ajnabi KHat-o-Khaal

Nazm

Ajnabi KHat-o-Khaal

Sufi Tabassum

;

ye kis ne meri nazar ko luTa
har chiz ka husn chhin gaya hai

har shai ke hain ajnabi KHat-o-KHal
baDhte chale ja rahe hain har samt

mauhum si be-ruKHi ke sae
kuchh is tarah ho raha hai mahsus

jaise kisi shai ka naqshm-e-manus
aa aa ke qarib lauT jae

begana hun apne aap se main
aur tu bhi hai dur dur mujh se

kuchh aise bikhar bikhar gae
jalwon ke sameTne ko goya

aankhon mein sakat nahin rahi hai
kya tu ne koi naqab ulTa

ya aaj koi tilism TuTa!
ye kis ne meri nazar ko luTa

har shai ke hain ajnabi KHat-o-KHal