ajnabi tujh se talluq ka sila KHub hai ye
teri KHwahish hai ki har rose nai nazm likhun tere nam
meri koshish bhi ajab hai lekin
rose taza nae jazbaat kahan se laun
kore alfaz ki saughat kahan se laun
KHushk aankhon ke kaToron se main barsat kahan se laun
ajnabi tu hi bata nusKHa-e-nayab koi
ajnabi mujh ko dikha KHitta-e-shadab koi
barg-e-awara ki surat hun hawa ki zad par
main ki raqsa hun abhi garm bagulon ke sath
ajnabi tu bhi mere raqs-e-falak-rang mein shamil ho ja
shairi kya hai meri jaan ka hasil ho ja
tu mera jism qaba tu meri ruh ki pur-nur ghiza
shahd se miThi mare lab ki dua
ajnabi kaun hai tu mere siwa mujh se juda
Nazm
Ajnabi farmaish
Khursheed Akbar