اردو हिंदी
Ajnabi | Shaahi Shayari
ajnabi

Nazm

Ajnabi

Aditya Pant u0027Naaqidu0027

;

baiThe baiThe rail ke Dabbe mein
hoti hain baaten logon se

rasta kaTne ke liye
waqt banTne ke liye

manzil par pahunch kar
dhundli yaaden bin kar

ye log chhuT jate hain
usi Dabbe mein

zamin par bikhre hue
mungphali ke chhilkon ki manind

magar aaj ye
kaise ajnabi shaKHs se

hui mulaqat safar mein
ki jis ka tasawwur

quli ke sar par dhare saman ki tarah
mere sath ghar chala aaya?