ajib ma-fauq silsila tha
shajar jaDon ke baghair hi
ug rahe the
KHeme baghair chobon ke
aur tanabon ke aasare ke
zamin pe istada ho rahe the
charagh lau ke baghair hi
jal rahe the
kuze baghair miTTi ke
chaak par Dhal rahe the
dariya baghair pani ke
bah rahe the
sabhi duaen girafta-pa thin
ruki hui chizen qafila thin
pahaD barish ke ek qatre se
ghul rahe the
baghair chabi ke qufl
az-KHud hi khul rahe the
niDar piyaada the
aur buzdil
asil ghoDon pe baiTh kar
jang laD rahe the
gunahgaron ne sar se pa tak
badan ko burraq chadaron se
Dhaka hua tha
wali ki nangi kamar chhupane ko
koi kapDa nahin bacha tha
ajib ma-fauq silsila tha
Nazm
Ajib ma-fauq silsila tha
Rafiq Sandelvi