ajib log hain
sahra mein shahr mein ghar mein
sulagti ret pe ThiThure hue samundar mein
KHala mein chand ki banjar zamin ke sine par
jo subh o sham ki be-rabt rah mein chup-chap
talluqat ki tamir karte rahte hain
hawa ke dosh pe tufan zalzala sailab
diya-salai ki tili pe tank atom bam
koi julus koi poster koi taqrir
umaDti bhiD ka har wote koi ballot box
phisalti kursi ka jadu bason ki lambi queue,
kahin pe sehn mein gobar kahin pe gae ka sar
har ek gosha hai shamshan qabr hai bistar
akela phirta hai sunsan shahr mein curfew
qarib ghur pe chiThDon mein jism ke TukDe
mahakti raat se janmi hui fasurda-subh
bigaDte bante hue zawiye khisakti inT
tamam silsile be-rabt munqate rishte
magar wo dauDte pairon pe uThte baDhte hath
har ek jabr se be-KHauf be-niyazana
jo subh o sham ki be-rabt rah mein chup-chap
talluqat ki tamir karte rahte hain
ajib log hain
Nazm
Ajib log
Shahid Mahuli