main chahta hun
ki mera beTa
jawan ho kar
kisi hasina ki kakulon ka asir Thahre
meri dua hai
ki ye riwayat na TuT jae
use bhi kuchh dil ki rahnumai mein
zindagi ko guzarne ka sharaf ata ho
machine us ko bhi ban hi jaana hai aaKHirash
bas dua yahi hai
ki mantiqon aur maslahat ki
napi-tuli zindagi se pahle
wo ji ke dekhe KHud apni KHatir
kisi ki KHatir
wo apna aapa bhula ke dekhe
jo us ko mohtat ban hi jaana hai
apni nindon ke zimn mein bhi
to chahta hun
wo chand raaten to ThanDi aahon ke sath kaTe
aur is se pahle
ki chand suraj faqat zarurat ki chiz Thahren
wo nange pairon sulagti chhat par
khaDa rahe ek jhalak ki KHatir
wo chandni shab mein muntazir ho kisi pari ka
KHurak ki ahmiyat ka qael to ho rahega
main chahta hun
wo bhuk ke zaiqe se bhi
aashna agar ho
to kya bura hai
Nazm
Ajib KHwahish
Rashid Jamaal Farooqi