ajib hai ye silsila
ye silsila ajib hai
hawa chale to ketiyon mein dhum chahchahon ki hai
hawa ruke to murdani hai
murdani ki rakh ka nuzul hai
kahan hai tu kahan hai tu
kahan nahin hai tu bata
abhi tha tere girte uDte aanchalon ka silsila
aur ab ufuq par dur tak
gae dinon ki dhul hai
gae dinon ki dhul ka ye silsila fuzul hai
main ro sakun
to kya ye gadli kaenat dhul sakegi
mere aansuon ke jhag se
main muskura sakun
to kya safar ki KHastagi ko bhul kar ye karwan nujum ke
baras paDenge motiye ke phul ban ke
is muhib kasa-e-hayat mein
na tu sune na main kahun
na mere ang ang se sada uThe
yun hi main aansuon ko qahqahon ko
apne dil mein dafan kar ke
gum
labon pe sil dhare
tere nagar mein pa-piyaada pa-barahna
sham ke fishaar tak rawan rahun
magar kabhi
teri nazar ke aastan ko
par tak na kar sakun
ki tu azal se ta-abad
hazar sad hazar aankh wale waqt
ki naqib hai
ye silsila ajib hai
ye silsila ajib hai
Nazm
Ajib hai ye silsila
Wazir Agha