ajib aadmi tha wo
mohabbaton ka git tha
baghawaton ka rag tha
kabhi wo sirf phul tha
kabhi wo sirf aag tha
ajib aadmi tha wo
wo muflison se kahta tha
ki din badal bhi sakte hain
wo jabiron se kahta tha
tumhaare sar pe sone ke jo taj hain
kabhi pighal bhi sakte hain
wo bandishon se kahta tha
main tum ko toD sakta hun
sahulaton se kahta tha
main tum ko chhoD sakta hun
hawaon se wo kahta tha
main tum ko moD sakta hun
wo KHwab se ye kahta tha
ki tujh ko sach karunga main
wo aarizon se kahta tha
main tera ham-safar hun
tere sath hi chalunga main
tu chahe jitni dur bhi bana le apni manzilen
kabhi nahin thakunga main
wo zindagi se kahta tha
ki tujh ko main sajaunga
tu mujh se chand mang le
main chand le ke aaunga
wo aadmi se kahta tha
ki aadmi se pyar kar
ujaD rahi hai ye zamin
kuchh is ka ab singhaar kar
ajib aadmi tha wo
wo zindagi ke sare gham
tamam dukh
har ek sitam se kahta tha
main tum se jit jaunga
ki tum ko to miTa hi dega
ek roz aadmi
bhula hi dega ye jahan
meri alag hai dastan
wo aankhen jin mein KHwab hain
wo dil hai jin mein aarzu
wo bazu jin mein hai sakat
wo honT jin pe lafz hain
rahunga un ke darmiyan
ki jab main bit jaunga
ajib aadmi tha wo
Nazm
Ajib aadmi tha wo
Javed Akhtar