chaTanen bol sakti hain
chaTanen raaz apne khol sakti hain
dikha sakti hain ye taqdis ki duniya-e-na-paida
jahan par fikr-o-fan uzlat-nashin ki KHan-qahen hain
jahan ehsas ki andhi guphaen hain
wo kis ki ungliyan thin jin ke lams-e-sehr-agin ne
unhen izn-e-suKHan baKHsha
wo kis ki garmi-e-dil thi ki jis ne un ko tan baKHsha
yahan har shaKHs aaega
magar us ko na paega
use DhunDo wo shayad un chaTanon mein chhupa hoga
ye pahli shart thi un ke takallum ki
ki jo bhi un ke asrar-e-muqaffal DhunDne aae
wo KHud un mein sama jae
Nazm
Ajanta
Muneebur Rahman