meri aankhon ka har manzar
udasi ka darida pairahan hai
shahr ki galiyan
KHamoshi ka kafan pahne paDi hain
chandni jaise
kis ki aankh ka yarqan ho
aur dur tak phaili chhaton par
leTne walon ke chehron par barasta ho
chhaton par leTne walon ke chehre zard hain
ThanDi hawa ke ek jhonke ko taraste hain
udhar bahar bahut aahistagi se KHauf ki chadar
kisi nadida taqat ne daraKHton par bhi phaila di
udasi se tarashida daraKHton ki har ek KHwahish
kisi barish ke qatre mein muqayyad hai
jo girta hai na miTta hai
agar hota mere bas mein
to main barish ka qatra ban ke girta
hawa ka sard jhonka ban ke
har ghar mein utarta
aur un viran aankhon ko
udasi se tarashida daraKHton ko KHushi deta
magar mein KHud usi manzar ka hissa hun
ajab sa ek qissa hun
Nazm
Ajab sa ek qissa
Fayyaz tahseen