ajab pani hai
ajab mallah hai
suraKH se be-fikr
aasan mar ke
kashti ke ek kone mein baiTha hai
ajab pani hai
jo suraKH se daKHil nahin hota
koi mauj-e-nahufta hai
jo pende se
kisi lakDi ke taKHte ki tarah chipki hai
kashti chal rahi hai
sar-phiri lahron ke jhule mein
abhi ojhal hai
jaise Dubti ab Dubti hai
jaise batn-e-ab se
jaise talatum ki siyahi se
abhi nikli hai
jaise raat-din
bas ek hi aalam mein
kashti chal rahi hai
kya ajab kashti hai
jis ke dam se ye pani rawan hai
aur us mallah ka dil naghma-KHwan hai
kitne Tapu rah mein aae
magar mallah
KHushki ki taraf khinchta nahin
nazara-e-raqsandagi KHwab mein
shamil nahin hota
ajab pani hai
jo suraKH se daKHil nahin hota
Nazm
Ajab pani hai
Rafiq Sandelvi