paniyon par jhilmilati chandni jaisa
mere dil ka samundar jab bhanwar ki zad mein aa jae
sabhi tarik lahren gher kar mujh ko
kisi patal ka rasta dikhati hon
to wo aisi sifat lahja
mujhe phir sahilon par khinch lata hai
mujhe kahta hai dekho
is bhanwar ke par bhi duniya mein kuchh lamhe dhaDakte hain
unhen bhi apni sanson mein parda dekhun
ye lahren jo ki andhiyaron mein dew-asar lagti hain
unhen tum chandni mein dekhna ye kis tarah
kirnon se mil kar majare taKHliq karti hain
ye lahren jab rupahle nur ki naddi mein Dhalti hain
to masti mein machalti aasmanon ko lapakti hain
amawas jab bhi aae chandni ko ya magar lena
mere chaaron taraf melon pe chalti dhup phaili hai
magar us ki ye baaten barishon ki bundiyon jaisi
mere dil ki daraDon mein
hari fasli ugai hain
main sar se panw tak
shabnam se bhigi pattiyon mein Dub jati hun
Nazm
Ajab lahja hai us ka
Mansoora Ahmad