mera wajud
dekhte hi dekhte
ek ajaib-KHane mein Dhal raha hai
ki mere la-shuur ne
aasar-e-qadima ki nadir inayaton ko
chhupa ke mujh se
mujh hi mein jama kar diya hai
yahan kahin kisi rack mein
mere hunut-shuda harf aur lamhe
paDe hue hain
jinhen na-jaane kaun sa masala laga diya gaya hai
ki mere jism ki hararat se bhi wo
gal nahin rahe hain
in almariyon se
meri TuTi hui chuDiyon ke saz ki
aawaz aa rahi hai
ye dekho shelf mein
meri bachpan ki guDiya ka
TuTa hua jism so raha hai
kahin meri singhaar-mez ka aaina
be-rang ho kar chaTaKH gaya hai
magar ab bhi
mere azab-lamhon ka
aks de raha hai
kahin kisi surme-dani mein
shayad kabhi main ne apni aankh chhoD di thi
jo us mein se mujhe ghurti hai
aur meri zindagi
mere zang-alud zewaron mein
dab ke chiKHti hai
aur payalon ki aawaz se Dar rahi hai
ek TuTi hui kanghi se
mere baal uljhe hue hain
aur kinare pe rakkhi hui
surahi se pyas ki bu
ris rahi hai
kisi ghaDiyal ki TuTi hui sui
ek azab-lamhe mein murtaish hai
aur qarib hi
mere jazbon ke talab se
bas uTh rahi hai
aur tamash-bin,
jauq-dar-jauq mere ajaib-KHane ko
dekhne ko aa rahe hain
in mein se koi tamash-bin
is ajaib-KHane ki
sans leti hui maut ko
tazhik se dekh kar
nazar-andaz karta hua ja raha hai
aur koi ajaibaat ka shauqin
in tamam ashya pe tahqiq kar ke
apna-ap sabit karna chahta hai
magar un ko dhul mein paDi hui
tariKH ki uljhi hui Dor ka
koi sira nahin mil raha hai
aur mein kinare pe khaDi hui
apne usi ek sire ke milne ki muntazir hun
ki mera wajud dekhte hi dekhte
ek ajaib-KHane mein Dhal chuka hai
Nazm
Ajaib-KHana
Sarwat Zehra