wo ghani saat ki hum
shaki na hon
ya yun kahen KHaki na hon
sad-haif aflaki na hon
kash us ghani saat mein
ek kar-e-ghanimat aisa ho
miTTi badan ki
ruh ki tahzib se hamwar ho
bedar ho
ye naqsh-pa-e-raftagan
raushan misal-e-kahkashan
sab ruh ki tahzib se bedar
miTTi ki numu hai
aks-e-hu hai
ruh ki tahzib
ya ek silsila jis mein adam ko hai sabaat
(ahl-e-zamin
ek nara 'diwane ki baat')
aur is adam se ta-sabaat ek bar
aisa ho ki na-mauud ho
yani KHuda maujud ho
KHaki faqat KHaki ho aflaki na ho
aur koi bhi shaki na ho
Nazm
Aisa ho ki na-mauud ho
Shahram Sarmadi