اردو हिंदी
Ainak ke shishe par | Shaahi Shayari
ainak ke shishe par

Nazm

Ainak ke shishe par

Adil Mansuri

;

ainak ke shishe par sarakti chyunTi
aage ke panw upar hawa mein uTha kar

pichhle panw par khaDi
hinhinati hai ghoDe ki tarah

ainak ke niche dabe aKHbar mein
do hawai jahaz Takra jate hain

musafiron se ladi ek kashti ulaT jati hai
ek bas khai mein gir paDti hai

panch buDhe faqir sardi se mar jate hain
koila-kan mein pani bhar jata hai

radio pukarta hai pachchis paise mein tin
ainak ka shisha saf karti chyunTi

aahista se aage baDh jati hai